chaaNd bhii khoyaa khoyaa saa hai taare bhii Khwaabiidaa haiN

aaj fizaa ke bojhalpan se lahje bhii sanjeedaa haiN

jaane kin kin logoN se is dard ke kyaa kyaa rishte the

hijr kii is aabaad-saraa meN sab chehre naa-diidaa haiN

itne barsoN baad bhii donoN kaise TuuT ke milte haiN

tuu hai kitnaa saadaa-dil aur ham kitne pechiidaa haiN

sun jaanaaN ham tark-e-taalluq aur kisii din kar lenge

aaj tujhe bhii ujlat sii hai, ham bhii kuchh ranjiidaa haiN

ghar kii voh maKhduush imaarat gir ke phir taamiir huii

ab aangan meN peD haiN jitne saare shaaKh-bariidaa haiN

is bastii meN ek saDak hai jisse hamko nafrat hai

uske niiche pagDanDii hai jiske ham gir-viidaa haiN