Buri aadat ko aise badhaya na karo,

De zakhm zamana to muskuraya na karo.

Maarna patthar to hai dastoor-e-duniya lekin,

Aaine-e-dil ko hatheli pe sajaaya na karo.

Mat baanton ye haq gairon me is tarah,

Lagao dil na jisse,chot bhi usse kabhi khaya na karo.

Kisko samjhaoge ye dard apna,k kaun farishta hai yahan,

Insaanon se to umeed ye lagaaya na karo.

Deni padhe gawaahi jab andhoon k sheher me,

Har baat ko nazroon se bataya na karo.

Utthe jikr jab bhi mehfil me gunaahgaaro ka,

Yun ghabra k nazrein jhukaya na karo.