bhala jaa k shahar meiN us k hum kiya kartay

inn pathraayi ankhoon ko ab num kiya kartay

kaha dil ne bohat chal aaj un k koochay meiN

per manzil hi dejati dhooka tu hum kiya kartay

laa talauq ho chukay haiN woh meri khushi se

jaa kar apnay dard-e-dil ka ghum kiya kartay

woh hain masroof nayi rifaqaton k nashe meiN

Amaan woh wohaN tanhayi teri kum kiya kartay