Bevafaa tere ruuTh jaane se

aaNkh miltii nahiiN zamaane se

aarizaa ho gayaa hai rone kaa

chand ghaRiyoN ke muskuraane se

kitne tuufaaN uTheNge saahil par

ek kashtii ke Duub jaane se

DhuuNd aayaa tujhe zamaane meN

tum kahaaN gum ho ek zamaane se

ab to duniyaa se jaa rahaa huuN maiN

lauT aao isii bahaane se

kis qadar baRh gayii hai lazzat-e-Gham

shiddat-e-Gham meN muskuraane se

daar hii ko gale lagaao “Shamim”

maut behtar hai sar jhukaane se