Betay ko saza de k ajab haal hua hay

Dill pehron mera karab k dozakh main jala hay

Aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilona

Uss shakhs ko damad bhi wesa he mila hay

Har ehl e hawas jaib main bhar laya hai pathar

Hamsaaye ki berri pey abhi boor para hay

Ab tak merey aasaab per mehnat hay musallat

Ab tak merey kaanon main machinoon ki sada hay

Aey Raat! mujhay maan ki tarah Goad main le ley

Din bhar ki mushaqqat se badan toot raha hey

Shayad main Ghalat Doar main utra hoon zameen per

Har Shakhs Tahhayyur se mujhay dekh raha hay

Atraaf main baareesh buzurgon ka hay pehra

Aur Beech main sehma hua Tanveer Khara Hay