besabab baat baDhaane kii zaruurat kyaa hai

ham Khafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai

aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam

aap jab hain to Thikaane kii zaruurat kyaa hai

teraa kuuchaa, teraa dar, terii galii kaafii hai

beThikaano ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai

dil se milane kii tamannaa hii nahiin jab dil men

haath se haath milaane kii zaruurat kyaa hai

rang aaNkhon ke liye buu hai damaaGon ke liye

phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai