beniyaaz-e-Gham-e-paimaan-e-vafaa ho,,,

tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho,,,,

mai’n bhii palko’n pe sajaa loongaa lahuu kii boonde’n,,,

tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho,,,



Khalq kii sang_zanii merii Khataao’n kaa silaa,,,

tum to maasoom ho tum door zaraa ho,,,

ab mere vaaste taryaq hai ilhaad kaa zaher,,,

tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho…