Behke behke huwe andaaz-e-bayan hote hain,

Ap hote hain to phir hosh kahan hote hain

Hont paband hain mafhum bayan hote hain,

Koi samjhe to ye aansu b zubaan hote hain,

Yaad hai teri nigahon ka badalna mujhko,

Ayse andaaz qayyamat me kahan hote hain

Q shab-e-gham na jalaon teri yaadon k charaag,

Unn se roshan Meri manzil k nishan hote hain

Gham hai ‘Baqi’ To kisi roz khushi b hogi,

Phool b khaak k pehlu may jawan hote hain.