Be sabab chor dya tum ne koi ilzam dia hota ,,

Meri khamosh muhabat ko koi naam dia hota ,,

Mai mar kyu na gya teri narazgi se pehle ,,

Mujhe chorna tha to koi laqb-e-badnam dia hota

Main umar bhar ke liye nahi kehta ke mera sath do ,,

Bas jeene ko koi dilasa kisi shaam dia hota ,,

Tumhein pane ki talab mein kitna roya dil-e-muntazar ,,

Raat bahr jagne ki ibadat ka koi inaamdia hota ,,

Agar hum na thay teri wafa ke qabil aae WASIf,

Hum mar hi jate agar zehar ka jaam dia hota ,,