barbaad-e-tamannaa pe ataab aur zyaadaa

haaN merii mohbbt ka jawaab aur zyaada

royeN na abhii ahl-e-nazr haal pe mere

honaa hii abhii mujhko kharaab aur zyaadaa

aavaaraa aur majnuuN hii pe mauquuf nahiiN kuchh

milne haiN abhii mujhko Khitaab aur zyaadaa

uThenge abhii aur bhii tuufaaN mere dil se

dekhungaa abhii ishq ke maiN Khwaab aur zyaadaa

Tapkegaa lahuu aur mere diida-e-tar se

dhaDkegaa dil-e-Khaana-kharaab aur zyaadaa

hogii merii baatoN se unheN aur bhii hairat

aayegaa unheN mujhse hijaab aur zyaadaa