Baithii Hai BaaL KhoLaY Hue Mere Paas Shab

Aaii Hai Kon Shaher Se Itnii Udaas Shab

Main Chup Rahii Toh Raat Ne Bhii Hont See Liye

Main Us Ka Pairhan Hoon Toh Mera Libaas Shab

Ghar JaLd Laut Kar Bhii Toh Manzar Wahii Raha

Wesi Hii Sard Shaam Wahi Naas-Paas Shab

Shayad K KaL Kii Subah Qayamat Hii Ban Ke Aaye

UTrii haY Jism O Jaan Pe Ban Kar Hiraas Shab

Sooraj Ko Daikhne Kaa SaLeeQa Kahan Hamein!

Jab Bhii Nazar UThaii , Rahi Aas Paas Shab

Aey Maah O Mehar-E-Hussun Tere Ahad Mein Kabhi

Din Hii Humein Khush Aaaye Na Aaaii haY Raas Shab

Mudat Ke Baad Chaand Ne Dastak Badan Pe Di

Phir HujLa-E-Hayat Mein

Aaii haY Khaas Shab…………