Badan Peh Daagh Jo Itne Sajaa K Aaya Hoon.

Main Aik Dasht Ki Qismat Jagaa K Aaya Hoon.

Jo Barrf Pighli To Kis Kis Mein Baan’tna Hai Usse..

Main Koh’saar Ko Sab Kuch Bataa K Aaya Hoon..

ELAAHI ,Mere Baddan Hi Mein Roshni Bharr De.!

Yaqee’n Sa’har Ka Main Sab Ko Dilaa K Aaya Hoon.

Tum Ik Chraagh Ki Khairaat De Rahe Ho Mujhe.

Main Aaftaab Se Daaman Chhuraa K Aaya Hoon.

Lo Tum Bhi Sun Lo, Huey Haath Kis Trah Zakhmi !

Tumhaari Raah Se Kaante Hataa K Aaya Hoon.

Jahaa’n Shikasst Ki Tareekiyaa’n Thee’n Chaaro Taraff.

Wohii’n Main Fat’ha Ka Suraj Ugaa K Aaya Hoon.