badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai

kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise

tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi

dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai

wo samane hai magar tishnagi nahin jaati

ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

‘Faraz’ sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi

hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai