baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii

jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii

le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar

beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin

jaise ab ho gaii qaatil kabhii aisii to na thii

un kii aaNkhon ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu

ke tabiiyat merii maail kabhii aisii to na thii

aks-e-ruKh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamakaayaa

taab tujh men maah-e-kaamil kabhii aisii to na thii

kyaa sabab tuu jo bigaDataa hai ‘Zafar’ se har baar

Khuu terii huur-e-shamaail kabhii aisii to na thii