Baat chali teri baaton se aur ja pohanchi paimaanay tak,

Kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhay maikhaanay tak.

Ishq ki baatein gham ki baatein dunia walay kartay hain,

kis ne shamma ka dukh dekha aur kon gya parwanay tak.

Ishq nahi hai tum ko mujh se sirf bahanay kartay ho,

yonhi bahanay qayem rakhna tum meray marr jaanay tak.

Itna hi kehna hai tum se mumkin ho to aa jana,

Aa jao to ruk jaana bus dil k sambhal janay tak..¤