baad berson en galion se ayi mere bachpan ki Mahek

laga lo galay khushbo se mahekta aaj bhi wo chaman hai

main ne khoya tha jo kabhi Mudaton ne mujhe milaya

Aanso mery kehty hai yehi mera woh sacha jiwan hai

banati thi jaha mitti k gharonde wo mitti bhi hai yehi

titilioin ke pichay hi guzer jata tha sara din hai

O khala tum batao kaha gayi meri Saheli zarina

O mamo tum batao kaha gayi meri Saheli Anisa

unko bolaona dekho phir se aya jiya ka bachpan hai

Meri galion ki thi rani aajaa saheli khailge bina fiker o gham

ab jawani ki qalaq se aami ne kerdiya derwaza bandh hai

Koi Laota de mera bachpan jiya kitna masoom tha woh

Meri Goriyaan meri Saheli dhonta bhut aaj mera man hai