aur kuch nahi badla

ajj baad mudat k

main ne us ko daikha hey

wo zara nahi badli

ab bhi apni aankhun mai

sou sawal rakhti hey

choti choti batun pe

ab bhi khul k hansti hey

ab bhi us k lehje mai

wo hi khankhanahat hey

wo zara nahi badli

ab bhi uski palkun k

saey geley rehte hain

ab bhi uski sochun mai

mera naam rehta hey

ab bhi meri khatir wo

us tarah hi pagal he

wo zara nahi badli

aj baad mudat k

main ne usko daikha hey

main bhi uski chahat mai

us ki tarah hi pagal hun

baad itni mudat k

aur to kuch nahi badla

bs hamare rastun k

aur kuch nahi badla