Arz-e-Gham Kabhi Uss Ke Rubaroo Bhi Ho Jaye

Shaiyri To Hoti Hai Guftagoo Bhi Ho Jaye

Zakham-e-Hijar Barhne Se Yaad To Nahi Jati

Kuch Nishan To Rehte Hain Dil Rafoo Bhi Ho Jaye

Rind Hain Bhare Bethe Aur Maikadah Hai Khali

Kya Banaye Jo Aise Mein Aik “Hoo” Bhi Ho Jaye

Main Idhar Tan-e-Tanha Aur Udhar Zamana Sara

Waaye Gar Zamane Ke Sath Tu Bhi Ho Jaye

Pehli Na Muradi Ka Dukh Kahin Bisarta Hai

Bad Mein Agar Koi Sarkhuroo Bhi Ho Jaye

Deen-o-Dil Ko Kho Bethe Ab “Aruj” Kya Gham Hai

Ku-e-Yaar Mein Ghaarat Aabroo Bhi Ho Jaye