Apni mohabat ki dastan bhi ajeeb hai,

Ham tanha the aur tanha rah gaye,

Unko mili roshni se bhari hui zindagi

To hame tanhaiyo se bhari Raat mili.

Ye sub to apna apna naseeb hai.

Kisi ko zindagi to kisi ko maut ki saugat mili.

Unse na bicharte waqt baat hui

na hi juda hote waqt akhri mulaaqat hui.

Jis juba se kara tha ekraar-e-mohabat

Ab wo juba bhi jane kyo bejubaan hui.

Sare jahan me faili hai roshni hi roshni

Pata nahi apni zindagi me kyou Andhkar hui