apni aankhon k dareechey main chupa le mujh ko

too maseeha hai bikherne se bacha le mujh ko

tere aariz pe khile hain kayi khush rang gulaab

main bhi ik zakhm hoon chehre pe saja le mujh ko

apna saya bhi yahan saath nahin deta hai

hijer k dasht se ab kon nikaale mujh ko

haath ko haath sujhaayi nahin deta hai yahan

in andheron main bhala kon sambhale mujh ko

meri aankhon main tera aks hai daaem abaad

too bhi khushboo ki terah dil main basa le mujh ko

kuch shikayat hai ager tujh se tou bas itni hai

kerdia too ne bhi duniya k hawale mujh ko