Apnay Uljhay Huway Din Raat Bhi Suljha Na Sakay

Itnay Be Faiz Hain Khud Apnay Hi Kaam Aa Na Sakay

Saya e Zeest Ko Dhaltay Huway Dekha Lekin

Taptay Sehra Pe Koi Naqsh e Khushi Pa Na Sakay

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jati Theen

Un Ki Dehleez Pe Lekin Yeh Qadam Ja Na Sakay

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai

Un Ko Pa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakay

Dastan Kehnay Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di

Lab Kusha Ho Na Sakay Dil Unhein Dikhla Na Sakay

Khilti Kaliyon K Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai

Bikhray Phoolon Se Jo Poochha Toa Woh Samjha Na Sakay