andhiari raat ke aangan me ye subah ke kadmo ki aahat

ye bheegi bheegi sard hawa , ye halki halki dhundlahat

gari me hu tanha , mehv’e safar or neend nahi hai ankho me

bhoole bhisre armano ke khawabo ki zameen hai ankho me

agle din jab hath milate he pichli batein yaad ati he

gum gushta khushian ankho me aansoo bun ker lehrati he

seeney ke veeran goshey me , ik tees si karvat laiti hai

nakam umeede roti he , umeed sahare laiti hai

wo rahe zehan me ghoomti he , jin raho se aaj aya hu

kitni umeed se pohancha tha , kitni mayusi laya hu …………………