Alfaaz mein par jayegi jab jaan mukammal.

.

Le aayengey hum ishq pe eemaan mukammal.

.

Aainey mein khoi hui hasti ko wo dhoondein?

.

Koi nahi is shehar mein insaan mukammal.

.

Bikhrey hue rango’n mein hai bikhri hui hasti.

.

Tasveer mukammal hai na insaan mukammal.

.

Aa jaye mera naam tere naam ke sath

.

Ho jaye kisi roz to pehchaan mukammal.

.

Hum gham ki kahani se kitaben na bharein ge.

.

Ik shair mein keh daala hai dewaan mukammal …