ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise

sahar kaa shahar hii aaseb_zadaa ho jaise

raat ke pichhale pahar aatii hai.n aavaaze.n sii

duur saharaa me.n ko_ii chiiKh rahaa ho jaise

dar-o-diivaar pe chhaa_ii hai udaasii aisii

aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise

muskuraataa huu.N pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar

dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise

ab agar Duub gayaa bhii to maruu.Ngaa na ‘Kamaal’

bahate paanii pe meraa naam likhaa ho jaise