aisi hi sard sham thi vo bhi

jab vo mahndi rachaye hathon main

apni ahat k khauf se larazan

surkh anchal main munh chipaye hue

apne khat mujh se lene ai thi

us ki sahmi hui nigahon main

kitni khamosh iltijayen thin

us k chehre ki zard rangat main

kitni majaburiyon k saye the

mere hathon se khat pakarte hi

jane kya soch kar achanak vo

mera shana pakar kar roi thi

us k yaqut rang honthon k

kapkapate hue kinaron par

saikaron ankahe fasane the

sard shamon main der tak aksar

jab ye manzar dikhai deta hai

ek lamha hinai hathon se

mujh ko apani taraf bulata hai

hamnashin ruth kar na ja mujh se

aisi hi sard sham thi vo bhi