Aisay toota hay tamannaon ka Pindaar k bas,

Dil ne jheeley hain mohabbat mein wo aazaar k bas,

Ek Jhonky mein Zamana mere hathon se gya!

Is qadar tez hui waqt ki raftar k bas,

Tu kbhi rakh k hamein dekh to Bazaar k beech!

Is tarha toot k aaen ge kharidar k bas

Kal b Sadyon ki Musafat se paray thay dono

Darmiyan aaj b parti hay wo deewar k bas

Ye to ik Zid hay k main Shikayat na karun Dost

Warna tum say to wo shikwey hain mere yar K bas…