Agar Tum Mujh ko Mil Jatay“

bohat mumkin tha

mere paaoon mere zeest k

kantay nikal jatay

bohat mumkin tha

meri raah k pthar peeghal jatay

jo deewarain mere rastay mein

hayail theen

mere agae se hat jatii

agar tum ankh utha ker dekh letay

kohsaroon ki traf ek pal

chatnain ek tumhari

jumbish e abroo se kat jatii

bohat mumkin tha

angaroon bhrii is zindaghnai mein

tumharay paon k ujlay knwal khiltay

rfaqat ki sunheri jheel mein

dono k aks zoofishan hiltay

bus ek qoabh e musal sal ki fiza rehti

hmari rooh kubh hum

se qfa rehtii

yeh subh kuch aeen mumkin tha

aggar tum mujh ko mil jatay