Adhoore khawabon k khasta kaghaz sanmbhaal rakhna hisaab hoga

Wafa ke rishtey jafa ki rut mein bahal rakhna hisaab hoga

Sunehrey jazbon ki qadar karna nafraton mein waqar rakhna

Andhair nagri mein dil jala ke khayal rakhna hisaab hoga

Muhabbaton ke safeer ban kar jo chahaton ke naqeeb ban’na

Raah e wafa mein na tum kisi …se malaal rakhna hisaab hoga

Zamaane bhar ki yeh talkhiyan kyun,yeh jabar kaisa yeh sabar kesa

Mere liye tum bas apne lab pe Sawal rakhna hisaab hoga