Ab’r malboos-e-aab tha jaise’

Chaand ko kuch hijaab tha jaise’

Kal achaanak wo yoon mila mujh ko

Koi pinhaan jawaab tha jaise’

Safha safha safar tha yaadon ka

Jalti bujhti kitaab tha jaise’

Adh’khili raat, an’kahe manzar

Raasta neem’taab tha jaise’

Chaandni ma’ tuloo’ hota hua

Raat ka aaftaab tha jaise’

Gehri taareekiyon ma’ behta hua

Aik raushan gulaab tha jaise’

Raat bhar maire aariz-o-lab par

Bosa-e-maahtaab tha jaise’

Us ki aawaaz neem khwaabeeda

Phool saa zair-e-aab tha jaise’

So ke utha to mairi aankhon ma’

Us ki aankhon ka khwaab tha jaise…