Ab voh pehle si shanasai bhi nahi

tanhai to ye hai ke tanhai bhi nahi

hua hai jab se khyaale-yaar hamraah

qurb nahi haasil to judai bhi nahi

dil hai ke jaane khuda kis maqaam

qaid maen bhi nahi rihaai bhi nahi

hui is qadar viraan mehfile tanhai

ke rah gayi ab parchhayee bhi nahi

aap aur bhule mujhe ye kaise mumkin

ab tak to yaad meri aayi bhi nahi

mayoos badaa aap ki bazm se lauta

baat to baat are roonumai bhi nahi

ye kyaa abhi se tang aa gaye aap

abhi kya abhi puri sunaai bhi nahi

ab vohi kare yaad to shayad ho kuch

hai khwabo khyaali itni rasai bhi nahi

kyon na ubhrey shauqe-ghazal sarai

tabiyat ab se pehle kabhi aai bhi nahi

vaham hai yaqeen hai ya khusfahmi

ho ga mujh sa koi shedaai bhi nahi