Ab ke jab tu khafa hai mujhse zindagi

Aao hum kuch milkar hal dhoonde zindagi

Tum na ab yaad aao hame zindagi

Apne haal par chhod de mujhe zindagi

Dard se wakeef hua mai zindagi

Gam se shanasai hui meri zindagi

Aitebaar na raha kismet par zindagi

Apne haal par chhod de mujhe zindagi

Saanse to an ginat diye tune zindagi

Har saans me sow azaab mile mujhe zindagi

Tahseen ke sirf hubaab paye maine zindagi

Apne haal par chhod de mujhe zindagi

Patang ban gayi khushi meri zindagi

Dor jiski thamee inayat ne teri- zindagi

Chhod dee who dor berahami se tune zindagi

Apne haal par chhod de mujhe zindagi

Maine kab jataya ekhtiyaar tujh par zindagi

Tum to ho sirf maut ki amaanat meri zindagi

Jaise bhi ho, ho tum “nacheez satish” ki zindagi

Apne is haal me sambhal mujhe zindagi