AaShiyan jAl Gya gUlsitaan lut Gya

hUm Qfas Say Nikal Kar Kidher jAaien Gey

Itnay ManOos Siyaad Say hO Gye

Ab RehaaYi Milay Gii tO Mar jAaien Gey

Aur Kuch Din Yeh DastOor e MehKhana hAi

Tashna-Kammi Kay Yeh din gUzar jAaien Gey

Meray SaaQi kO Nazrien Uthanay tO dO

Jitnay Khaali hAin Sab Jaam Bhar jAaien Gey

Aey Naseem e Sehar tUjh Ko Un Kii Qasam

Un Say Ja Kar Na Kehna Mera Haal e Gham

Apnay Mitnay Ka Gham tO Nahii hAi Magar

Dar Yeh hAi Un Kay GaisUu Bikhar jAaien Gey

Ashk e Gham Lay Kay Aakhir Kahaan jAaien hUm

AansOun Kii Yahaan kOii Qeemat Nahii

Aap Hii Apna Daman Barha Dijiye

Warna mOtii Zameen Par Bikhar jAaien Gey

Kaalay Kaalay wO GaiSUu Shikan Dar Shikan

wO TabaSsum Ka Aalam Chaman Dar Chaman

KheenCh Lii Un Kii TaSveer Dil Nay Meray

Ab wO Daaman BaCha Kar Kidher jAaien Gey . . . /