aao ki koii Khwaab banain kal ky vaaste

varnaa ye raat aaj ky sangeen daur kii

Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil

taa-umr phir na koii haseen Khwaab bun sakain

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr

Khvaabon ke aasare pe kaTii hai tamaam umr

zulfon ky Khwaab, honthon ky Khwaab, aur badan ky Khwaab

meraaj-e-fan ky Khwaab, kamaal-e-suKhan ky Khwaab

tahaziib-e-zindagii ky, faroG-e-vatan ky Khwaab

zindaan ky Khwaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ky Khwaab

ye Khwaab hii to apanii javaanii ky paas thy

ye Khwaab hii to apany amal ky asaas thy

ye Khwaab mar gaye hain to be-rang hai hayaat

yuun hai ke jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

aao ki koii Khwaab bune.n kal ke vaaste