aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo

ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo

log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN

zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo

saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN

phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo

haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano

apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo

yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe

aas ke badlo sir pe mere aaya na karo

aaj ke daur ka paiGHam yahi hai taalib

koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo