aankhon main jo khuab hain in ko baatain kerne do

honton se wo lafz kaho jo kajal kehta hai

mosam jo sandesa laya us ko perh to lo

sun to lo wo raaz jo piyasa sahil kehta hai

aati jaati lehron se kia pooch rahi hai reet?

baadal ki dehleez pe taare kion ker bethai hain!

jhernon ne is geet ka mikhra kesai yaad kia!

jis ke her ik bol main hum tum baatin kertai hain

rah guzer ka, mosam ka, nabarish ka mohtaaj

wo deriya jo her ik dil ke ander behta hai

kha jata hai her ik sho’alawaqt ka aatish daan

bas ik naqsh-e-muhabbat hai jo baqi rehta hai

‘aankhon main jo khuab hain in ko baatain kerne do

honton se wo lafz kaho jo kajal kehta hai’