Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise

Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me

Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda

Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye

Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha

Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko

Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise

“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe

Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise