Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota

Jab Merii Kahaanii Men Vo Naam Nahiin Hotaa

Jab Zulf Kii Kaalikh Men Ghul Jaaye Ko’ii Raahii

Bad-Naam Sahii Lekin Gum-Naam Nahiin Hotaa

Hans Hans Ke Javaan Dil Ke Ham Kyoun Na Chune Tukre

Har Shakhs Kii Qismat Men Ina’am Nahiin Hotaa

Bahte Hu’e Aansuu Ne Aankhon Se Kahaa Tham Kar

Jo Mae Se Pighal Jaaye Vo Jaam Nahiin Hotaa

Din Duube Hain Yaa Duubii Baaraat Liye Kashtii

Saahil Pe Magar Ko’ii Kohraam Nahiin Hotaa