aage asp-e-khuunii chaadar aur khuunii parcham nikle

jaise niklaa apnaa janaaza vaise janaaze kam nikle

daur apni khush tartibi ka raat bohat hi yaad aayaa

ab jo kitaab e shauq nikaali saare varaq barham nikle

haif, daraazi is qisse ki is qisse ko khatam karo

kyaa tum nikle apne ghar se, apne ghar se ham nikle

mere qaatil mere masiiha, meri tarah laasaani haiN

haathoN meN to khanjar chamke, jeboN se marham nikle

jaun shahaadat-zaada huun maiN aur khuuni dil nikla hun

meraa juluus us ke kuuche se kaise be-maatam nikle