Aab tu shehroon say khabar aati hai devanoon ki

koi pehchaan he baki nahi veranoon ki

subah hotay he nikal aatay hein bazar mein loug

gathriyaan sar pay uthaye howay imaanoon ki

aapni poshaak say hushiyaar keh khudam e qadeem

dhajiyaan mangtay hein apnay garaibanoon ki

saltanain phailtee jati hein magar iss kay sath

serhadain toot’ti jaati hein gulastanoon ki

un ko kaya fikar mein paar laga ya dooba

behas kartay rahay sahil pay jo tofanoon ki

maqbaray bantay hai zindoon k makanoon say baland

kis qadar auj pe hai taqreem insanoon ki

teri rehmat to musalam hai magar yeh to bata

kaun bijli ko khabar detah hai, kashanoo ki

abhi takmeel ko pohancha nahi zehnoo ka gudaz

abhi dunya ko zaroorat hai ghazal khanoo ki