Tera ghar aur mera jungal bheegta hai saath saath

Aisi barsaateN ke badal bheegta hai saath saath

Bachpane ka saath hai phir aik se dono ke dukh

Raat ka aur mera aanchal bheegta hai saath saath

Woh ajab duniya, k sab khanjar bakaf phirte hain, aur

Kaanch ke peyaloN maiN sandal bheegta hai saath saath

Baarish-e-sang-e-malamat maiN bhi woh hamraah hai

MaiN bhii bheeguN khud bhi pagal bheegta hai saath saath

LaRkiyoN ke dukh ajab hote haiN sukh us se ajeeb

Hans rahi haiN aur kaajal bheegta hai saath saath