Shab wahi lekin sitara aur hai

ab safar ka isteaara aur hai

mauj ke murrne mai kitni der hai

naao daali aur dhara aur hai

sukh k mausam unglyon par gin liye

fasl e gham ka ghoshwara aur hai

dair se palken nahi jhapki meri

teshe jaan ab k nazara aur hai

aur kuch pal uska rasata dekh loon

aasma’n par aik tara aur hai

sath to mera zamee deti magar

aasma’n ka hi ishara aur hai