mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se

dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par

ik umr mere khet the jis abr ko tarse

is bar jo indhan k liye kat k gira hai

chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se

mehnat meri andhi se to mansub nahin thi

rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

khud apne se milne ka to yara na tha mujh main

main bhir main gum ho gai tanhai k dar se

benam musafat hi muqaddar hai to kya gam

manzil ka ta’yyun kabhi hota hai safar se

pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye

ye shahar nikalta nahin jadu k asar se

nikle hain to raste main kahin sham bhi hogi

suraj bhi magar ayega is rah-guzar se