Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista

Kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista

Koi zanjeer phir waapas waheeN par le ke aati hai

Kathin ho raah to chhut’ta hai ghar aahista-aahista

Badal dena hai rasta ya kaheeN par baith jaana hai

K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista

Khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye

Khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista

Hawa se sarkashi mein phool ka apna zayaaN dekha

So jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista

Meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye

Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.