Dil O nigaah pe kis taur ke azaab utray

Wo maahtaab hi utra, na uske khaab utray

KahaaN woh rut K jabeenoN pe aaftaab utray

Zamana beet gaya unki aab O taab utray

Main usse khul ke miluN, soch ka hijaab utray

Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utray

Udaas shab meN, kaRi dopaher ke lamhoN meN

Koi charaagh, koi suurat E gulaab utray

Kabhi kabhi tere lehje ki shabnami Thandak

Samaa’atoN ke darichon pe khaab khaab utray

Faseel E shehar E tamanna ki zard bailoN per

Tera jamaal kabhi surat E sahaab utray!

Teri haNsi meN naye mausamoN ki khushbu thi

Naveed ho K badan se puraane khaab utray

Supurdagi ka mujassam sawaal ban ke khiluN

Misaal E qatra E shabnam tera jawaab utray

Teri tarah, meri aankheN bhi mo’tabar na raheeN

Safar se qabl hi raston meN woh saraab utray!!