Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye

Mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye

Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN

Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye

Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN

Bachche hamaare ‘ahd ke chaalaak ho gaye

Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas

Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye

Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein

Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee

Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye

Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab

Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye