Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..

Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa

Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh

Kabhi yeah jashan sar rah’guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya

Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi

Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay

Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain

Kissi tarhaan tu humain rooz’gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon

Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai MOHSIN

Khud Apni jaan kay dushman say pyaar karna hai …..