‘TANHAI main ajeeb zamane ki wafa dekhta raha,

UMER bhar apna ghar tanha dekhta raha,

KAHIN na kahin to badal he jatey hen silsiley,

magar main jahan gya sehra dekhta raha,

JANE kiyun qatrate hen log muje milne se,

kal shub dair talak Aaina dekhta raha,

PANI mangte mangte mere hont pathar ho gaye,

wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha,

BE-GUNAH tha phir b sar jhukay howy,

sitamgar k sitam ki INTEHA dekhta raha,

UMAR bhar mohabbat ka kuch yun silsila raha,

main usey or wo DUNIYA dekhta raha,

KAHOON ga KHUDA se yom-hisab ko’MOHSIN’

k zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha.