Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !

Zameen pe wo bhi falak ka mizaaj rakhta hai

Sanwrnay walay sada ainay ko dhondhtay hein

Bichar ke wo bhi meri ehtiyaaj rakhta hai

Hum uss ke husn ko taskheer kar ke dekhein ge

Jabeen pe kaun shikan ka khiraaj rakhta hai

Teray bagher yahan kaun zeer-e-saya-e-lab

Jaraht-e-dil-o-jaan ka ilaaj rkhta hai

Khafa sai who , sakhawat sarisht jab bhi milay !

Bharam ana ka , muhabbat ki laaaj rakhta hai

saba khiraam , khizaan perahan , bahar badan

Wo mausamoon ka ajab imtizaaaj rakhta hai

Chura ke aankh se kuch khuwaab rakh liay MOHSIN

Kisaaan jesay bacha kar anaaaj rakhta hai