Moj-e-khushbu ki terha baat uranay walay !

Tujh main pehlay to na thay rung zamanay walay

Kitnay heeray meri ankhon say churaye tu ne !

Chund pathar meri jholi main giranay walay

Khoo’n baha agli baharo’n ka teray ser to nahi?

Khushk tehni pay naya phool khilanay walay,

Aa tujhay nazer krun apni he shah rug ka lahu

Meray dushman, meri toqeer berhanay walay

Asteeno main chupaye huye khanjer aye,

Mujh say yaro’n ki terha hath milanay walay

Zulmat-e-shab say shikayat unhain kesi Mohsin

Wo to sooraj ko thay ayena dikhanay walay…