Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhe ayenga

Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengay

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengay

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh

Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengay

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan main

Sheeshay chamak rahey hain to pathar bhi ayengay

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!

Niklay safar pay hum to teray ghar bhi ayengay

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho

Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengay…

Badla na teray bad b mozo-e-guftago”

“Tu ja chuka ha phir b meri mehfalon mein ha”